VoLTE aur LTE ky hai aur kaise kaam karta hai-full information in hindi

VoLTE aur LTE ky hai :

Namaskaar dosto swagat hai apka humare blog me aur aj baat krenege ki VoLTE aur LTE ky hai.
VoLTE  ek new technology hai jo ki IP Multimedia sytem ke base pe work karti hai ajkal ane wale  almost sabhi phones me 4G phale se hi available rhata hai phale ke mukable aj ke phones me kafi development hua hai phale logo ko SMS calling se matlab rhata tha jisse unka kaam 2G network me ho jata tha, utna jyda koi internet ke bare me nahi janta tha  aur na hi itna development hua tha. Lekin aj kafi log internet ka use karte hai vo bhi high speed internet.Friends aj hum iske hi bare me baat karne wale hai ki kyu VoLTE aya,isko jaanne ke liye apko 1G,2G,3G,4G,5G ke bare me jrur padna chiye tabhi apko aage ki jaankari samajh ayegi.



VoLTE aur LTE ky hai aur kaise kaam karta hai-full information in hindi



Ky hai hai 1G,2G,3G,4G,5G


Internet ka use to ajkal sabhi karte hai ajkal internet ke bina hum apne life ki kalpana bhi nahi kar skate ajkal almost sare kaam internet se hi ho rahe hai aur ye kafi acchi chez hai ghar baithe hum apne daily bases ke kaam kuch hi time me kar lete hai.

Ky ap jaante hai internet ki generation ky hai aj hum apko batayenge ki internet ki abhi tak kaun si generation aa chuki hai hai aur ye generation apne time pe kaise work karti thi.Generation matlab 1G,2G,3G,4G,5G ye sabhi internet network ki generation aur yaha pe G ka matlab generation hota hai.

1G:
Isme se sabse phale ayi thi 1G jise America me test kiya gaya tha is network ki voice quality kafi kharab thi aur jin phones me network use hota tha unki battery lifr bhi acchi ni hua karti thi.

2G:
2G yani ki 2nd generation ye kafi had tak 1G se better thi isko sabse phale Finland me launch kiya gaya,ye digital signal based pe work karti thi aur iski internet speed kafi acchi thi approx 64kbps itni speed kafi thi us time. In phones se SMS,Camera,Mailing jaise services ko start kiya gaya.

3G:
2G ki success ke baad 3rd generation yani ki 3G launch kiya gaya jiske dwara hum heavy games,big files, video calling aur data transfer jaise services ko start kiya gaya. 3G ki success ke baad market me kafi sare data pack plan bhi launch kiye gaye jis se internet me kafi development hua.

4G:
3G ki kafi success ke baad market me ajkal 4G chal hi ap me shyad hi koi aisa hoga jo 4G na use kar rha ho kyuki 4G internet ajkal kafi kam daam(Rs.) pe market me available hai.4G network ki help se user 1MB se 15MB tak ki spped bahut hi easy use kar sakta hai.



What is VoLTE and LTE

Dosto agar apke pass smart phone hai ya koi smart phone lene ke bare me soch rahe hai to sbse phale humare mind me ata hai 4G ab ye 4G me 2-traha ke network hote hai ek LTE aur dusra VoLTE.
VoLTE, LTE ka hi upgraded version hai jo ki kafi acchi speed provide karata hai jisse hum apna daily ka work jaise facebook,whatsaap aur internet etc ko bina kisi rukawat ke use kar pate hai.

LTE me  humko voice aur video ki calling ki problem ko face karna padta tha hum bina internet on kiye call nahi laga pate the starting me jab JIO ne 4G launch kiya tha to jinke pass LTE the unko ek app download karni padti thi uske baad hi vo call lga pate the. Lekin aisa VoLTE me nahi hai jis phone me VoLTE hai hum bina internet on kiye hi call easy se laga sakte hai. Isliye to VoLTE ka pura naam Voice-Over LTE hai.

VoLTE aur LTE me difference |  VoLTE and LTE Difference 

1. LTE ko high speed internet ke liye banaya gaya tha jabki VoLTE ko lane ma main reason the calling ki quality ko improve karna hai.  

2. LTE me call lagne me 6-7 second ka time lagta hai jabki VoLTE me hand to hand calling bahut hi easily lag jati hai.

3. LTE me hum high quality calling nahi kar sakte jab ki VoLTE me hum high quality calling kar sakte hai bas ap jiske pass call kar rahe hai uske pass bhi VoLTE hona chaiye.

VoLTE ka upyog | Use of VoLTE 

1.VoLTE ka use hum high speed internet ke liye karte hai.

2.VoLTE ka use Video calling ke liye karte hai.


Benefits of  VoLTE | VoLTE ke fayde

1. VoLTE yani ki Voice over LTE jiska matlab 4G se hai. Iska use HD calling ke liye kiya jata hai jo ki kafi acchi baat hai humare liye palak jhpakte hi call lag jati hai.

2. VoLTE ka use karke hum acchi connectivity bhi kar sakte hai jiska use internet me bhi karte hai.
VoLTE ki frequency 2G,3G ke mukable kafi acchi hoti hai.

3. Video calling ke liye jaise ki Skype,Facebook calling aadi le liye bhi VoLTE network kafi accha hai. 

Disadvantage of VoLTE | VoLET ke nuksaan 

1. Jaisa ki hum sabhi jaante hai ki VoLTE high speed internet provide karata hai jis se ki humare phone ki battery life pe bhi effect padta hai.

2. 2G,3G ke mukable 4G VoLTE data ka data pack bahut hi jaldi khatam ho jata hai.

Full form of LTE and VoLTE

LET =Long term evolution
VOLTE = Voice over long term evolution




Post a Comment

0 Comments