Photo editor blur background

Photo editor blur background | Best background blur app

Namaskaar dosto swagat hai apka humare blog pe,aj mai phir ek intresting topic ke saath ap logo ke liye aa gaya, friends aj hum baat krenge ki photo editor blur background ke bare me ye ek aisa software hai jiski help se ap apne photo ke background ko badi hi assani se blur kar sakte hai.

Aj-kal market me aise bahut se phone aa gaye hai jo pic click karte time hi apko blur karne ka option dete hai, i know friend ho sakta hai ap me se kuch logo ke pass itna costly phone na ho. To problem ki koi baat nahi hai aj mai ek aise application ke bare me bataunga jise ap apne android phone me install karke bhi photo ko jaisa chahe waisa blur kar skate hai.

Ye app apko play store pe badi hi assani se mil jyegi uske liye apko play store pe jana hoga aur waha
blur image type karke search karna hoga apko ye app 3rd ya 4th number pe dikh jyegi. Ya phir ap niche diye gaye link pe click karke bhi ye app install kar skate hai.


Photo editor blur background




👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆👆

#Step1: 

Ab app ko open kar le , apko do option dikhega ek blur image background aur dusra  pop colour ayega apko blur image background  pe click karna hai. Now, open gallery pe jana hai aur waha ja ke jis bhi photo ka background blur krana hai usko open kar lenge.

   
Photo editor blur background

#Step3: 

Finally,ab humari photo app me aa chuki hai apko ek brush dikhega jiska work hota puri photo ko blur karna yaha app apne according blur kar le uske baad continue pe click kare.


                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                   
Photo editor blur background

#Step 4:       

Continue pe click karte hi select an option me Focus Image pe click kare. Ab yaha pe apko redo,undo brush aur adjust brush ka option milega apko brush pe click karna hai aur apne image ko clear karna hai jo bhi image me unblur karna hai.


Best background blur app

#Step 5:   

Finally background ko chor ke jo bhi clear karna hai vo sb ap kar skte hai. Clear karne ke baad apko final picture kuch aise dikhegi.

  
Best background blur app

       
I hope, apko idea lag gaya hoga ki apne android phone se kaise background blur karte hai. Apko ye post kaise lagi jarur bataye, aur agar apka koi question hai comment box me comment karke humko btaye. Thank you so much ! Keep smiling.
















Post a Comment

0 Comments