Blogger pe free blog banaye | Blogger pe free website kaise
Aj hum baat krenge ki free website kaise banaye. Website ya blog banana koi hard kaam nahi hai dosto bas thodi si mehnat lagti hai, ap thodi si mehnat karke acchi-khasi ever-green website bana sakte hai vo bhi ekdam free me.
To chaliye suru karte hai ap sirf 10 minute me website bana sakte hai Google humko ye service proide karta hai jiska naam hai blogger.com . Aur free website ke dwara ap money bhi earn kar sakte ho, agar ap ka sauk hai aur ap kuch paise kamana chate hai aur famous hona chate hai to blogging kafi helfull ho sakti hai apke liye.
Ab baat ati hai ki blogging boring to nahi hai, ji nahi agar ap koi kaam maje se krenge to jahir si baat hai ki apko maja ayega aur apko boring feel nahi hoga. Ap part time bhi blogging karke paise kama sakte hai, aur kafi log part time blogging bhi karke accha paisa bana rahe hai.
Blogging ya website banane ke ky-ky hai jaruri
1. Ek gmail account.
2. P.C. /Computer
3. Internet
Agar inme se koi chez apke pass nahi hai to problem ki koi baat nahi hai, Gmail Account ap bas 10 minute me bana sakte hai.
Aur agar apke pass Khud ka computer nahi to ap mobile ko bhi blogging ke liye use kar sakte hai.
Aur internet kuch khass problem to honi nahi chiye kyuki market me aj kafi kam Rs. me accha 4G internet mil jata hai. To ye thi kuch website banane se phale use honi wali cheze.
Ab hum baat kar lete hai ki blogger pe website kaise banate hai.To der na karte hue chaliye suru
karte hai.
#Step 1: Sbse pahel apko www.blogger.com pe jana hai aur Create Your Blog pe click karna hai uske baad apne Gmail Account se login karna hai.
#Step:2 Ab apko apna Email enter karke next pe click karna hai uske baad password pe click karke Signin pe click kre. Ab ap blogger me enter kar jyenge jaha pe apko kuch aisa dikhega.
#Step 3: Create new blog par click kare uske baad apke saamne ek new page open hoga jaisa ki niche image me dikhaya gaya hai.
#Step 4: Ab apko apne blog ka title dena hai aur uske baad apne blog ka address dena hai jisepe apki website chalegi. Uske baad apko simply create blog pe click kar dena hai, click karte hi apka blog ban chuka hoga. Ye karne ke baad ab apko New Post pe click karna hai. Ab ap yaha se apni blogging start kar sakte hai.
Apko hamari ye post kaise lagi comment karke hmko btaye , agar apka koi Question hai to comment me kare. Thank You So Much!

0 Comments