What is HTML in hindi:
Namaskaar dosto swagat ap sab ka aj hum baat karenge HTML ke bare me ki HTML ky hai aur iska use kaha hota hai, HTML ek language hai jiski khoj "Sir Tim Berners-Lee" ne 1980 me ki thi.
HTML ka full form hai Hyper Text Markup Language jiska upyog website banane ke liye kiya jata hai, Html ke bahut sare tag hai jo help karte hai website banane me in tags ka use karke hm jaise website chahe waise website bana sakte hai.
Basically, HTML website development ke liye hi hai aur hamara web browser bhi HTML ko samjhata hai , Agar ap dekhna chahte hai kaise to uske liye apko apne computer ya laptop pe jana pdega jaha pe apko koi bhi website open karni hogi. Website open hone ke baad apko apne Keybord se (Ctrl+U) press karna hai aisa karne se apko HTML ka format apke web browser pe dikha jyega.
HTML ke ab tak bahut se version aa chuke hai jo ki es parkaar hai.
HTML Version | Year |
---|---|
HTML | 1991 |
HTML 2.0 | 1995 |
HTML 3.2 | 1997 |
HTML 4.01 | 1999 |
XHTML | 2000 |
HTML 5 | 2014 |
Example of Small HTML Code –
<!DOCTYPE html>
<html>
<head>
<title> Page Title</title>
</head>
<body>
<h1>My First heading </h1>
<p>ParaGraph! This is my first WebPage</p>
</body>
</html>
Ab hum baat kar lete hai ki uper diye gaye code me kaun si line ka ky matlab hai.
<!DOCTYPE html> Ye tag hmko btata hai ki ye Document ka type HTML hai.
<html> ....... </html> Ye HTML ka openning aur closing tag define karta hai hai jo bhi webpage se related document honge vo es tag ke andar hi likhe jyenge.
<Head>........</Head> Is tag me apni style sheet ya phir script aur document se related information ko rakhte hai
<Title>........</Title> Title tag me hum webpage ke title ko define karte hai.
<H1>.........</H1> Ye Heading tag hota hai agar hmko documnet se related koi bhi heading deni hai to hm <H1>..</H1> tag ke andar likhte hai. Ye tag <H1> se lekar <H6> tak hote hai. Hum apni heading size ke according <H1>,<H2>....<H6> inme se koi select kar lete hai.
<Body>.........</Body> Jab hum webpage banate hai to <body> tag ke andar hi sara kaam hota hai,phir chahe vo image lagana ho ya phir koi document write karna ho.
<p>......</p> Ye tag me hum apna paragraph likhte hai.
Note: HTML ka extension .htm ya .html hota hai.
Agar ap uper diye gaye code ko notepad pe Filename.html se save karke chrome pe open krenge to apko kuch aisa dikhega.
I hope apko samajh aa gaya hoag ki HTML ky hai,agar apka koi question hai to comment karke btaye
Thank you so much !
0 Comments