Inprivate window | Open a new incognito tab

Inprivate window  | Open a new incognito tab

Inprivate window ky hai aur hume isko use kyu karna chaiye, namaskaar dosto swagat hai apka. Inprivate window browser ki ek aisi window hai jiska use karke hum apne data ki security jaise ki password browser ki history aur bhi bahut kuch badi hi asani se manage kar sakte hai.







Ye ek aisa browser window hai jisme cookies aur cache nahi hota matlab ki ap jo bhi information enter karte hai phir chahe vo password ho ya kuch bhi search karna ho , ye browser kabi bhi kuch bhi save nahi karta hai.

Aur ye browser ek baar close hone ke baad sare login account ko bhi logout kar deta hai, simple si baat hai friends jis browser me cookies cache na ho vo browser koi bhi history aur password save nahi karta hai.

Incognito browser sabhi device(PC.Android,Tablet) aur sabhi browser(Chrome,Opera,Internet Explorer) ke liye hota hai. Is browser ko use karne ke liye ap ko Ctrl+Shift+N karna pdega uske baad ap isme internet browse kar pyenge. Ya phir ap apne browser ke Right side me sbse uper 3 dot pe click karke bhi isko open kar skate hai.


                                                           

Inprivate window ka use hmko kyu karna chiye | Use of  Inprivate window 

1. Cyber cafe me yadi ap gmail open kare to ye browser apke liye kafi helpful rahega.
2. Dusre ke phone me Facbook ,Twitter ke liye bhi ye browser accha hai.
3. Jaisa ki maine bataya ki cookies aur cache nahi save hota hai, jisse ye browser kafi accha work karta hai aur speed bhi acchi rhati hai.

I hope, apko ye post apko pasand ayi hogi agar apka koi question hai to niche comment karke hume bataye. Thank you so much !






Post a Comment

0 Comments